Thursday, November 17, 2005

!! Na Ker !!

na ker dosti per yun aitbaar, woh chala jayega,
na ker pyar se itna pyar, woh chala jayega,

na thaam zindagi ki dor itni kus ke, woh chhoot jayegie,

na reh maut ke darr se itna door, woh chali aayegi,
na reh khafa itna khuda se, uski khudai sa-e-hem jayegi,

na muskura itna apni beb-asi per, woh apna legi tujhko,

na reh iss kader shamil, inn mehfilon mein, aadat pad jayegi,
na ker gumaan iss bahaar ka, ye bagiya uzadd jayegi,

Kiss intezar mein sare shaam se jaam liye baitha,
Khuda to kab ka khud ki khudai ne nashe mein choor hoker chala gaya,

yun he nahin dee hai tere haath mein kismat teri,
maut ke khanzar se likhi hai khuda ne kismat teri,
tu he khada tha chaurahe per, jab sare bazaar lut rahi thi asmat teri,
kyun nahin tha tujhe intezar, jab aadhi raat ghar lauti asmat teri,

ab to maan ja apni haar, shayad tab he aaye tere zigar ko karaar,
zeete zee kon zeeta hai khuda se, log to mer ker bhi kerte hai bosa uska her baar.

4 comments:

  1. *******na ker dosti per yun aitbaar, woh chala jayega,*******
    Dosti ke bina life kitna hai suna suna

    *******na ker pyar se itna pyar, woh chala jayega,*******
    Pyaar bina hame nahi hai jeena

    *******na thaam zindagi ki dor itni kus ke, woh chhoot jayegie,*******
    Dor chootne ka dar se, Zindagi ko tham na chod diya tho, Zindhagi ka kya hai maza?

    *******na reh maut ke darr se itna door, woh chali aayegi,*******
    Maut kabhi bhi aa jaye, kisko hai dar, waqai maut akela hi hai zindhagi ka sachai


    *******na reh khafa itna khuda se, uski khudai sa-e-hem jayegi,*******
    Khuda se kaisa kafa ho sakte hai, wo hi sutradar hai yeah sab ka


    *******na muskura itna apni beb-asi per, woh apna legi tujhko,**************
    Beb- asi ka matlab nahi samji

    *******na reh iss kader shamil, inn mehfilon mein, aadat pad jayegi,*******
    Atleast yadein tho hamesha rahegi, hai na.

    *******na ker gumaan iss bahaar ka, ye bagiya uzadd jayegi,*******
    Phir aur bahaar ka intezaar tho kar sakte hai na?


    *******Kiss intezar mein sare shaam se jaam liye baitha,
    Khuda to kab ka khud ki khudai ne nashe mein choor hoker chala gaya,*******

    Kissi ka intezar tum math karna mere dost, Aaye ho akele iss duniya mein ,
    jaana bhi akela hi hai, chaar din ki zindhagi kyon kisi ka intezaar me waste karoge?


    yun he nahin dee hai tere haath mein kismat teri,
    maut ke khanzar se likhi hai khuda ne kismat teri,



    tu he khada tha chaurahe per, jab sare bazaar lut rahi thi asmat teri,
    kyun nahin tha tujhe intezar, jab aadhi raat ghar lauti asmat teri,

    ab to maan ja apni haar, shayad tab he aaye tere zigar ko karaar,
    zeete zee kon zeeta hai khuda se, log to mer ker bhi kerte hai bosa uska her baar.

    apne pe vishwas mat haar, Koun jaane iss haar me hi teri jeet likha hai tho

    ReplyDelete
  2. [Akruti] - I know thy shall understand.

    [BnB] - Lemme see whats on yr blog to disect now !! Grrr !!!

    ReplyDelete