Saturday, February 19, 2005

!! Aaj Phir !!

Aaj Phir usko dekha khidki se baher jhankte hue,
Ek ajeeb si aas liye jhaank rahin thi uski aankhen,
khidi uske dafter (office) ki hai, aur door talak dikhte hain usko hari bhari vaadi,
shayad mann kerta hoga uska bhi ki kood jaye uss khidki and ud ker gum ho jaye,

Per shayad baandh diye hain pankh uske bhi,
aakhon mein aas liye,
dil mein ek pyaas liye,
phira karta hai woh office ki gallery mein,
anjaan se logon ko "hi hui" kehta hai,
na jaane kyun ab kewal muskurata rehta hai,
kabhi kabhi aasmaan ko dekhta hai aur phir muskurata hai,
Khuda se na jaane kab ka bair hai uska,
usi ko ulhana deta rehta hai,
aakhir chahta kya hai woh,
kabhi kabhi bahut saara khaana ghanton banata hai aur phir kuch hi niwale kha ker chuk jaata hai
aankhen bhari rehti hai aajkal,
soch liya hai usne bhi ki bhag jayega,
kisi ke haath nahin aayega,
log milte hain, muskurate hai, phir milna chahte hain,
kabhi kabhi usko lagta hai ki aakhir kyun woh bhagna chahta hai,
itna to kisi mahapurush ko bhi nahin milta janam bhar mein,
jitna usne paa liya bus kuch hi barson mein
Per shayad hai usko intezar un kuch palon ka jinme woh
baith sake chain se aise neem ke ped ki chanv mein
jo ho nadiya kinare,
meelon door tak na aati ho awaz kissi rail gaadi ki,
shaant sa baitha ho din bher,
bhook lagne per paas mein hi kahin se do roti aur pyaz mill jaye,
aur chain se woh so jaye,

aur chain se woh so jaye.

No comments:

Post a Comment