Wednesday, June 15, 2005

Unaizanasim: Love in a forbidden state.....

Unaizanasim: Love in a forbidden state.....

Here is an attempt to have this beautiful post in Hindi/Urdu. Unaiza has written something really great. I donno whether I was able to do justice with translation. tell me...

Aakhir ishq bhi paecheeda nikla,
Na he ye khwaheeshein hamari thin,
aur na hee kismat hamare haath thi,
yaar sab kahin chhut gaye,
aur ishq ka saazon samaan nikla yun khaali,

Aakhir kiss tereh gujarti thi ye jindagi tab,
akhir kaise roshan rahega ye jigar ab,

Na he gulaabon mein ab woh shokhi hai,
Aur na he in ne-gahon mein neend aur dil mein karaar,
jo bhi dikha woh sirf aur sirf maya thi,

aakhir kab tak chaloge tum ???
iss dard ke saath muskuraate ???

Ek antheen yatra,
Na he kahin nazar aata hai aasman,
aur na he kadam hain kisi dagar per,

kisko pataa hai, kanha rehti hai ye kismat,
aakhir kisko bulayon, aakhir kisko karoon pyaar,
aakhir kaun sunega mere dil ki ye daastan,

Na he ab udti hain titliyan,
aur na he haritima hai ab iss kusha mein,
Ud gaya hai rang kyun, nahin hai ab aaftab kyun,
Ud gayi hai hawa mein se yun nami,
ki ab shabnum bhi hai dukhi aur nitaant akeli,

kitna azeeb hai ye mausam,
jab saari khwaheeshein hain gumsum au pareshan..

Ab kuch bhi kehna mushqil hai mujhe
kyunki Ishq ab vurjit hai mujhe..

6 comments:

  1. im honored!!!!
    just placed in my feelings..moulded em into poetry nd u saw em on my blog!
    thnx!

    ReplyDelete
  2. [Unaiza] - Honour is all mine

    [Akruti] - On the contrary I have started believing I have lost my originality :(

    [Lorena] - Thats the exact translation of what Unaiza said on her blog

    ReplyDelete
  3. As usual..you are great !!

    Did I mention that before ??

    ReplyDelete