Monday, January 09, 2006

Breathless Revisited

Sometime back during my last visit, I wrote this to a blogger Friend Unaiza upon her request...Today I found it again on PC, and felt its worth posting to blog...so here it is... :)

Ab jo mere din aur ab jo meri raatein hai,
Unme sirf Aansoon hain, Unme sirf dard ki ranz ki baatein hai,
aur fariyaadein hain,

Mera ab koi nahin, Mein hoon aur khoye hue pyar ki yaadein hain,
Doob gaya hai dil gum ke andhere mein, Meri saari duniya hai dard ke ghere mein,

Mere Saare geet dhale aanhon mein, Bunke deewana ab yahan wahan firta hoon,
thokarein khaata hoon un raahon mein,

Janha usse dekha tha, Jahan usse chaha tha,
Jahan mein hasa tha, aur baad mein roya tha,
Janha usse paya tha,paake khoya tha,
Janha kabhi phoolon ki kaliyon ke saaye the,

Rangeen rangeen mehki rut ne her ek kadam pe raas rachaye the,
gulshan gulshan din mein ujale the,
jagmag jagmag noor tha raaton mein,

jhilmil jhilmil janha meine khwabon ki dekhi thi manzil,
janha meri kashti ne paya tha saahil,
janha meine payi thipalkon ki chanv,
janha meri banhon mein kal thi kisi ki marmari bahein,

janha ik chehre se hat-ti nahin thi meri nigaahein,
janha kal narmi he narmi thi, pyar he pyar tha baaton mein, haath the haathon mein,
Janha kal gaye the Prem taraane, janha kal dekhei the sapne suhaane,
kisi ko sunaye the dil ke fasaane,

janha kal khayi thi jeene ki marne ki kasme,todi thi duniya ki saari vo rasme,
janha kal barsa tha preet ka badal, janha meine thaama tha koi aanchal,
Janha pehli baar hua tha mein pagal,

ab un raahon mein koi nahin hai,
Ab hain vo raahein veeran veeran,
dil bhi hai jaise hairaan hairaan,
jaane kanha gaya mere sapno ka mela,

aise he khayalon mein khoya khoya, ghoom raha tha mein kab se akela,chamka sitaara,
jaise koi gagan mein goonji sadaa koi man aangan mein kisi ne pukaara mujhe

mudke jo dekha meine, mill gaya khoya hua dil ka sahara mujhe,

jise maine chaha tha, jise maine pooja tha, laut ke aaya hai,
thoda sharminda hai, thoda ghabraya hai, julf pareshan hai, kaanpte hoth aur bheegi hui aankhein hai,

dekh raha hai mujhe gumsum gumsum,
uski nazar jaise pooch rahi ho, itna bata do kahin khafa to nahin tum,
pyar jo dekha fir meri nigahon mein, agle he pal vo meri in baahon mein,
bhool gaya mera dil jaise her gum, badal gaya jaise duniya ka mausam,
jhoome nazaare aur jhoomi fizayein aur jhoome chaman aur jhoomi hawaiyein,
jaise fir gaane lagi saari deeshayein,

Kitni haseen hai, kitni suhaani,
Hum dono ki prem kahani, Hum dono ki prem kahani, Hum dono ki prem kahani

No comments:

Post a Comment