Thursday, March 03, 2005

Mujhe mera aangan yaad aata hai

Don't know why aaj mujhe mere ghar ka aangan bahut yaad aa raha hai.

Mujhe yaad aa raha hai ki mein savere uth ker uss aangan mein ghooma kerta tha. Aisa nahin tha ki mein hamesha ek hi ghar mein raha, Pitaji ke transfers ke kaarun hum logon ne kai ghar change kiye, per mujhe aaj woh saare aangan yaad aa rahe hain.

Jab mein chota tha, tab hamara aangan bahut bada tha, mein bhai ke saath usme cricket khelta tha, dodta tha bhagta tha. Aangan ke peeche kyariyan thi jinme hum bhutte ugate the.

thoda bada hua tab phir hamne shift kiye, doosre ghar ka aangan thoda chota tha, per ghar ke saamne bahut jagah thi, mein school se aaker uss aangan mein kai baar baith jaata tha aur masti mein wahin ghanton baitha rehta. Shaam ko aangan mein hi nahate the.Maate hamare liye aaloo ke parenthe with chai deti thin and hum chain se baith ker khate the.

uske baad phir humne First floor wale ghar mein shift kiya, Wahan aangan to nahin tha per chat (Roof top) per bahut aish kaati. Wahan kabhi kabhi savere savere uth ker jata tha, Surya namaskaar kerta tha, Jab barish hoti thi, to wahin hum nahate the baarish mein. Us ghar mein chote chote bacche bhi the. Unke saath ghanton khelta tha, College se aane ke baad "Mannu" ke saath khelna ghanton tak was fav. past time. Ye ghar bahut yaad aata hai, Yaad aatein mujhko woh saare pal jo main Mannu, Shivam, Shivani ke saath bitaye. Ye teeno baccha chote chote the tab. Mannu se jab mein mila tha tab woh 2 saal ka tha. Shivam to 6 mahine ka and tab shivani nahin thi. Hamare saamne Shivani aayi, Shivam bada hua. Hum uss ghar mein tab tak jab Mannu ne school jana shuroo ker diya. hamare saamne in teeno ne chalna seekha, bolna seekha, school jana shoroo kiya..Un Dino mere paas kisi aur cheez ke liye to jaise time he nahin tha. "Days were just packed". Jab ghar mein batti (Electricity) chali jaati to hum sab chut (Roof) per jaker baith jaate and wahin so jaate.

Uss ghar ke baad jab humne shift kiya to life thodi change ho gayi. Mein job mein Senior ho gaya tha tab tak. Bahut saari Responsibilities and na jaane kya kya, jinka asal jindagi se koi vasta nahin hota woh sab bhi mri jindagi mein ghud gaya. Raat mein kai baar sapne aate jinme mein uth ker hairaan ho jata. Jindagi "khazzal" ho gayi. Per phir bhi mera aangan mujhe aseem shanti deta.

Hamare her aangan mein hamesha "Tulsi" ka paudha (plant) rehta tha. Jiski Maa roj savere pooja karti. Jab mein chota tha tab mein bhi kerta tha. Per dheere dheere is sansar ne mera viswas hila diya, aur lagne laga ki "bhagwan" huh !!

Aaj bhi kai baar mann karta hai ki mein phir se bhagwan ko usi tereh se maan loon jaise bachpan mein manta tha. Saare fast rakhon. Per shayad ab ye bahut mushkill hoga mere liye.

Ab yahan na to woh aangan hai, na he woh bacche, na he maa ke haat ke aloo ke paranthe, aur na hi woh aseem shanti.

Mujhe Mera aangan ab bahut yaad aata hai.

Sochta hoon bhaag jayun yahan se, aur wapas usi aangan mein baith ker ghanton nahayon and chain ki neend so jayun.

Per Shayad mera ye sapna ....jaane kab poora hoga....

Jab mein aangan mein baith ker chain se aaloo ke paranthe khate hue doston aur ghar walon ke saath phir se taash khelonnga aur radio per "Vividh Bharti" per "Aap ki Farmayish" chain se sununga.

Vividh bharti ke saame ye ipod waghera sab bakwas hai...

Kya masti thi "Binaca Top Ten" mein...

Kher mera aangan !!!

4 comments:

  1. Aapka aangan ka masti bari topic padte padte mera bachpan ka yaad bhi kuch taaza ho gayi.

    Really no hipocracy :)

    ReplyDelete
  2. I know anamika, aangan bahut pyari jagah hoti hai...there is so much associated with it, not only of my childhood, but my teenage and when I grown more older also.

    There is so much with it that I cannot even write all

    ReplyDelete
  3. Well done Hirdu! Aisi aur kahaniyan humien sunao..

    ReplyDelete
  4. Grrr !! Addy - Baat karenge phone per kahenge woh sab :)

    kher ab tum kehte ho to likhte bhi hain thoda aur in next post

    ReplyDelete