Saturday, March 05, 2005

!! Mujhe Kya Kya Yaad aata hai !! Part 1

So somebody asked me to write what all I remember, i.e "Mujhe kya kya yaad aata hai". Mein Pehle ek Hindi version post kerta hoon and then I will traslate it all to English.

I am not sure if I shall be able to write it in one sitting, not coz I won't be able to remember ii all or phrase it, it is coz while I shall be writing I shall be feeling all the emotions struggling inside and they shall definately bring tear to my eyes and then....

So here it goes----

Mujhe kya kya yaad aata hai - Part 1 (Nursury - IV) (1st half of 80's)

Mujhe yaad aata hai apna bachpan, jab maine school mein admission liya tha, woh ek chota sa scholl tha, aur mein her baar School Top kerta tha, wahan Prize mein humko Plates (Utensils) milte the with my name engraved on it. Nursury se Class IV tak meine hamesha top kiya. V mein isliye nahin coz I never did it. IV se mein direct VI mein aa gaya :) Badiya na.

Kher uss school mein apni dhoom thi, dhoom bole to, her kisi ko pata tha ki Hum HUM hain. Favourite Students sought. Savere school jaker Mein Prayer karata tha, Choir Group mein tha. Tum logon shayad yaad hoga ki Schools mein Ek Pledge Karayi jati thi "India is my Country and I am the citizen of India...."

Uss School ki Prinicipal bhi bahut yaad aati hain. After I did my Graduation and got the Job I went to meet her. She was so happy. She said "You have grown much bigger", She was refeering to my tummy.

Uss school mein mein notebook se page faad ker Hawai Jahaz aur guns banate tha, aur mein hi kya poori ki poori class banati thi, phir hum log chutti ke baad sabke sab rickshaw aane se pehle khelte the. Itne saare hawai jahaz the ki uss chote se ground mein hum sabke hawai jahaz hi udte nazar aate the. Ek baar Mam ne pakad liya aur paya ki sabki copiyan aadhi ho gayi hai coz baaki ke to hawaz jahaz bun gaye, By God ulti mate jhaad padi thi.

EK aur incident hua tha wahan, which I shall never forget. Hum log Rickshaw se School jaate the and raaste mein Rickshaw Race hoti thi, Jisme Me along with some other will get down of rickshaw and then Rickshaw ko Push kerte the so that it runs faster and we have more chance to win the race. On one fine day when we were returning from school, phir se wohi race shuroo hui, aur jaise hi Rickshaw ke peeche utra, Meri trousers ka ek Payncha Rickshaw mein fus gaya and since Rickshaw was running, it tore off one leg of the trouser. When I got back to home, Mom was all furious, I asked her not to tell my father.

Lekin kya kahin aisa hota hai ki papa ko kuch pata na chale, Kissi ne office mein papa ko bol diya and jab papa wapas shaam ko aaye to bahut pitayi hui. Papa ne "Sweater" Bunne wali salayion se maara, Mom ne roka, But papa ne ek nahin suni, then papa ko kuch aur nahin mila to papa ne "Ruler" uthaya, but woh gusse mein bhool gaye ki woh plastic ka hai, Haath per jaise hi woh pada woh toot gaya, Woh Ruler mujhko School mein first aane per mila tha. Uske tootene ke baad mein Dard se kum aur Ruler toot jane ki vajah se jayada roya. Almost saari raat roya, Mom bhi royi, Bhai to almost darr hi gaya tha. do Din School nahin gaya. uss incident ke baad humne Rickshaw se utarna aur Race karna nahin choda per haan "mein phir Kabhi First nahin aaya".

Uss time ki ek aur baat mujhe bahut yaad aati hai woh hai kahaniyan banana aur rickshaw mein aate jaate sunana. wahan Kahani sunane baari hoti thi, Bole to her koi apni-apni kahani banata tha aur sunata tha, Hum bhi acchi kahani banate the. Shayad ye imaginative brain usi daur ka parinam hai.

Woh time kuch to nirala tha, mein bahut socha kerta aur bahut comics padta tha, I read almost all of those "Diamond Comics - Chacha Chaudhary, Pinky, Billoo, Raman, Tauji, Chacha Bhatija, Fauladi Singh, Anderaam Danderaam, Rajan Iqbal, Motu Patlu", "Indrajaal Comics - Vetaal, Bahadur, Mandrake". Sab kuch pad dala tha. Papa ko comics bilkul pasand nahin thi, Aur mujhko Jaan se jayada pyari. Mere paas Hamesha Khareedne ke paise nahin hote the, so hum kiraye per comics laate the, ya aaspaas jo Bhaiya wahera rehte the unse maang ke padte the, Kaafi Jee hoozri karni padti thi, comics mangne mein. Ab kafi azeeb lagta hai.

Mein sochta tha ki Jab mein bada ho jayoonga aur mere paas paise honge to mein saari comics khareed daloonga. Aaj Comics aur Kitabe khareedna mera sabse bada Shauk hai. Last time when I calculated, I traced around Rs 40,000/- spent in span of 4-5 Year on Non-Technical Books and Comics.

Maine Unhi dino mein padna Dhung se seekha tha, I remember ki Pehli kitaabein jo maine padi thi besides my study books were "Sarita, Grehshoba, Nandan, Parag, Suman Saurabh & Champak". Mujhko Hindi kafi tez speed se padni aa gayi thi.

Ek Aur Cheez unhi dino maine khana banana shuroo ker diya tha. Pehli baar maine Aata (Floor) mala tha jab mein 3rd class mein tha. Chai banani sabji Kaatna sab maine tabhi seekh liya. Over the period of year I just honed my skills.

Tab mein bhagwan per bahut vishwas kerta tha and Mera aur Bhai ka Ramayan Padne ka almost Competition hota tha. Unhi dino mein shayad hum dono ramayan poori ki porri 9 ya 10 baar pad lee hogi. Ek ek Shabd, Ek Ek page.

So folks yr tha "Mujhe Kya kya Yaad aata hai - Part 1"

4 comments:

  1. wen we go through the stuff of our life it is never as exciting as we look back on it sometimes, but then its too late...but not late enough to relive them if possible.

    Isi par:

    looking back a thousand miles away,
    into days and nights goneby,
    grovelling through dust layers,
    unfolding the reels of my life,
    i end up mining out the moments turned golden....

    ReplyDelete
  2. Wow muje bhi bahut khuch yaad aa rahi hai.

    those days were cho chweet. Comic puri padne tak mummy used to not let, "kal school jaana hai will be her worry" MY worry will be kab subah hoga, kabh katm karungi. Muje need bhi nahi aatha tha, maine mummy sone ke baad, chaddar pura cover karkar , zero bulb( bed lamp) ka lights se aadi rath tak padti thi, ek din mama pakad liya. she used to inspect kahi comic bed ke niche nahi hai na.

    ReplyDelete
  3. Hey kateki !! The Guy you saw was me of course, but that guy comes later in the Part 3 of the post.

    We were around 300 Km apart in Part 1 :) and were not knowing each other.

    ReplyDelete