Thursday, September 28, 2006

Aakhir kyun

Aakhir kiske intezar mein soti nahin hain aakhein, aakhir kiski yadoon se tanhai hai ye dil, Aakhir sochta kyun rehta hai ye dimaag hardum, aakhir kyun yun he chaltey rehtey hain mere kadam, aakhir kyun mehek uth-ta tha mera mann tere aaney se, aakhir kyun nahin bujhti woh ye pyaas, aakhir kyun abhi tak mujhko hai tera Ehsaas, Aakhir kyun jhanakti hai teri payal abhi tak mere kaanon mein, aakhir kyun sulag raha hoon mein abhi tak teri yaadon mein, aakhir kyun ruk jaata hoon aaj bhi mein us doraahey per, aakhir kyun bhool jata hoon mein ki ...

US shaam ka aalam azeeb tha, Us shaam kyun na keh saka,

Ya khuda dhoond ker Lauta dey mujhko mera woh mein...

Us shaam jo keh diya hota tujhe apna, to mein khuda hota aur duniya per khudayi hoti,

Ye zindagi ab ek janjaal hai, ek behuda mazak hai, ek dariya hai tezaab ka, jismey har ek pal pighalti hai ruh meri,

Ab so jaaney do mujhe, jindagi ne bahut jee liya hai mujhey,

Ab so jaaney do mujhko, jindagi ka zeher pi liya mainey bhi,

khuda ne aakhir le he liya intekaam mujhse,

Teri aakhiri yaad bhi aaj aakhir rukhsat ho lee mujhse

chaha tha kabhie saath meiney bhi khushiyon ka,

Aakhir kyun phir Gumon ki syahi se likh liya naam khud ka,

Raat ki tanhahiyon ab bhatakta hoon mein,

Jism sota hai, per aajkal bahut rota hoon mein,

kaun tanha hota hai tanhayi mein, kaun jalta hai judai mein,

Yahan to har shaam, raat syah hoti hai tanhai se meri,

aur subah surkh hota hai sooraj, judai se meri,

1 comment:

  1. good one.

    Akhir kyon ki talaash nahi karna chahiye

    For many things we dont know the reason why it happened in our life.

    isn't this a beautiful song from aakhir kyon

    yek andheraa laakh sitaare, yek niraashaa laakh sahaare
    sabase badee saugaat hain jeewan naadaan hain jo jeewan se haare

    beete huye kal kee khaatir, too aanewaalaa kal mat khonaa

    ReplyDelete