Monday, January 08, 2007

Kaash ki mujhe bhi neend aa jaye

Kaash ki mujhe bhi neend aa jaye, aur ye jindagi kuch der ke liye tham jaye,
Shayad isi tereh ye ruh kuch sukoon paye, aur khuda ko khud per bharosa ho jaye,

kaash ki thodi der ke liye ye duniya mujhe bhool jaye, aur mera mein mujh mein kho jaye,
shayad isi tereh mujhe jundagi ka yakeen aaye, aur khuda ruk ker khudai mein kho jaye,

Kaash ki woh aaj phir nazar aa jaye, aur kuch aur kareeb se gujar jaye,
Shayad iss baar mein kuch keh payoon, aur mujhse pehley khuda na pahuch jaye.

2 comments:

  1. Hey Dude
    Dont wait for things to happen, make it happen.
    Either its there or not there. Thatz it.Be practical.

    I hate all these aagar, magar, Kaash.

    Seekhale , Naya saal me
    naya andaaz se jeena tu seekhale.
    Chodade yeh senti , menti flavour
    Sab chodade

    :)cheers

    ReplyDelete
  2. bahut achcha hain Hirdu ...soulful...ruhani !!...

    ReplyDelete