Friday, November 03, 2006

Raat bher yun he...

kaanptey huey haathon se usney aaj phir pakdaya mujhey chai ka pyala, Na jaaney kiss umeed se woh aaj bhi tukur tukur dekhti rehti hai sadak ke uss paar.

Log kehtey hain, pehley woh aisi na thi, bus do he baras to huey uskey saath woh haadsa huey...

Aaj he ki tereh bheeg raha tha bangalore....aaj he ke tereh Electronic city ki teref jaati hui ye sadak madhosh thi, aaney wali raat ke nashey mein....

Nayi nayi shaadi kerkey abhi kuch he to din huey aayi thi woh iss dhaabey per. Chota sa sansaar tha unka...

Log kehtey hain....Jaise he shaam ke 6 bajtey, logon ka taanta lag jata...Uskey haathon mein jaisey koi jaadoo tha...Subeh subeh logon ki bheed ka aalam kuch doosra he hota...Electronic city Interview ke liye jaatey hue na jaaney kitney ladkey uskey haath ki chai kuch to "Gud Luck" Charm ki tereh peeker nikal jaatey...aur shaam ko wapas aatey huey phir se ...

Us Din baras raha tha aasman, jaise nigal jayega sabko....Achanak kisi ne to sadak ke uss paar se awaz lagayi uske pati (hubby) ko...woh ek haath mein chai aur soorey haath mein 2 Biscuit leker dauda....Divider ko bus paar kara he tha....ki ....kahin se to achanak woh truck aa gaya...aur cheer ker chala gaya uskey sansaar ko...

Reh gayi to bus woh ...Sadak ke iss paar...Ye sadak leel gayi uska sab kuch....

Mujhey to bus kuch he din huey hain aaye huey....Us haadsey ke baad kisi ne uski aankhon mein na to aansoon dekhey na he chehrey per muskaan...

Aaj na jaaney kyun mere muh aisey he nikal gaya, 'Revati, hum woh gareeb hain, jinkey paas kehney ko hota to sab kuch hai, bus Jindagi nahin hoti'

Usney kaha, "babuji, aur hum woh gareeb hain, jinkey paas jindagi to kya Maut bhi nahin hoti"

Bus tabhi se goonj rahein hai uske ye sabd meri rooh mein....aaj bahut din baad, kisi ne jana ki "Mein Gareeb hoon". aaj bahut din baad kisi aur ne socha hai jindagi ko jindagi se bhi jayada..

pata nahin kab khuda ko khud per bharosa ho jaye

aur woh zannat se uter ker zameen pe jaye,

to shaayad woh jaan jaye,

dozakh mein bhi nahin ab aag utni baaki,

jitni dhadhakti hai aaj insaan ke seenay mein...

{on lighter note: tabhi to kehte hai ..." Bidi jalaye le jigar se piya, jigar maa badi aag hai}

3 comments:

  1. This post really did touch my heart.
    Life is so uncertain.

    Other day read this news in paper, 7 people from two families met with an accident & died while returning back from holidaying only 2 kids aged 13 & 8 from each family survived. Really really feel for those kids who indeed needed their parents to guide, to take care in growing years. But destiny was something else.

    A year back three couples were honeymooning, met with accident & each one lost their partner within a week of marriage.

    Bhagwaan ke paas bhi iske liye jawaab nahi hoga, Its all karma of previous life.

    ReplyDelete
  2. Hirdu,
    call me or tell me which mail id u r using.
    if free let me know or i will call u

    ReplyDelete