Thursday, November 16, 2006

Yun he nahin ruk gaya mein

Bus yun he nahin ruk gaya mein,
Bus yun he nahin dil he dil mein darr gaya mein,
Bus yun he nahin charon or se simat gaya mein,
Bus yun he nahin aandhiyon mein chup gaya mein,
Bus yun he nahin toofaano ke aage se hut gaya mein,
Bus yun he nahin khuda ke aage jhuk gaya mein,
Bus yun he nahin raahon mein bhatak gaya mein,
Kisi ne kabhi kuch bhi nahin kaha tha mujhe,
kisi ne kabhi kahin to toka nahin tha mujhe,
kisi ne muskura kar kabhi nahin jhidka tha mujhe,
shaant hoon kyunki chahta hoon mein bhi dekhna,
shaant hoon kyunki chahta hoon mein bhi rukna,
shaant hoon kyunki chahta hoon mein bhi muskurana,
shaant hoon kyunki chahta hoon mein bhi khojna,
aakhir mera bhi haq hai meri jindagi per,
aakhir mera bhi haq hai meri muskaan per,
aakhir mera bhi haq hai mere khud ke samay per,
aakhir mera bhi haq hai mere khuda per,
aakhir mera bhi haq hai tum per,
aakhir mera bhi haq hai tum per....

2 comments:

  1. :D Bus yun he main padliya whole poem
    aakhir muje kuch samaj me nahi aaya hehhehe

    Note :- I Second Jeseem, also Simple hindi for amateurlike me :d

    ReplyDelete
  2. :D

    A man got 2 wishes from GOD. He asked for the Best wine and Best
    Woman.
    Next moment, he had the Best Wine and Mother Teresa next to him.
    Moral : BE SPECIFIC

    hahaha

    ReplyDelete